Kya hoga jab...

kya hoga jab koi sager,saritao ko chhod e? kya hoga jab koi mali, hansta khilta suman tod de ? kya hoga jab yah suraj, apni roshni ko khichh le ? kya hoga jab yah chandrama,apni chandni ko bhinch le ? kya hoga jab yah pawan,apni pranbayu ko rok le ?  kya hoga jab koi dhadhakati jwala, is sare sagar ko hi sokh le? kya hoga jab yah bashundhara, hume kuch dena hi chhod de? kya hoga jab koi bhukh ka mara bechara apana jivan hi chhod de ? in anant prashano se ghire huye khade hein hum ,tub kya hoga jab yah shristi apna shrajan karna hi chhod de ?
   

Comments