Manushyata hamari dharohar

Mnushyata manushya ki sabse badi daulat hoti hai .manushya ke pas kuch ho n ho  yah daulat avshya hoti hai .yhi manushyata mnushya ko annya yoniyon se bhinna banati hai.jaise devtaon me unka apna devtva hota hai jo unhe abhimani banata hai ki hum devta hein aur hame vishisht shktiyan prapt hein aur in vishsht shktiyon ke bal pr hum kuch bhi kar sakte hein baise hi mnushya ko unki mnushyta unko vishisht banati hai.par jaise jaise manushya aage badta ja rha hai ,sabhyata ko aur viksit karta ja rha hai ,baise baise vah shishtachar aur uske niymo ko apne aapse nikalta ja rha hai.pahle ka mnushya jyada pada likha nhi hota tha. usne sari duniyan nhi ghumi thi par vah bahut hi samjhdar tha .apne bade bujurgon ki bato ko manna,unhe samman dena aur unke samman ki raksha karna apna param kartavya samjhta tha .apne kartavya ke liye vah prano ki bazi lagane se bhi nahin chukta tha .par aaj ka manav keval apne aap per hi dhyan deta hai .vah apne se jyada kisi ko kuch nhi samjhta hai.apne svatrath ke liye ab vah dusron ki jan lene me bhi nhi hichkta hai.pahle ke manushyo ke sambhandh me pdo ya suno to dil aur aatma dono apne purvjo pr garv karne lgta hai.Rajaram jinhone apne pita ke kahne se pure choudah varsh vanwas me kate the.krishna ne apne mata pita ko bandigrah me rkhne aur apne bhaiyo ko marne ke karn kansh ko hi mar dala tha aur apne mata-pita ko bandigrah se chhutkara dilaya tha.Shravan kumar ne apne kandho pr bithakr apne mata pita ko tirath karwaya tha .bhagirathi ji ne tow apne purvjo ke kalyan aur taran taran ke liye Ganga ma ko hi svrag se prathavi par le aaye the.aise bhut se udahran hein jo apne bado ke samman ke liye kuch bhi kar gujare the .par aaj ke manushya se in sabki ummid karne me hi ak anjana sa  dar sa lagta hai ki kya pta  mera beta meri bat manta bhi hai ki nhi .par mujhe visvas hai ki manushya ab shighra hi badlega aur apna puratan samay ki achchi -achchi soch aur apne logo ke samman ko banaye rakhne me ak aham bhumika nibhayega.


Comments