Hamara chetan aur achetan mastishk

Insan ka mastishk apne dvara arjit  ak jankariyon ka ak vishal khjana hota hai .usme hajaro, lakho vichar aur jankariyan ak likhit granth ki bhati  sangrehit hoti hein.ye jankariya mastishak ke chetan aur achetan namak do bhago me vibhajit hoti rahti hein.insani mastishk" jise sadharan bhasha me hum dimag bhi kahte hein" ke ander vo baten jo dainik  jivan me ghatit hoti hein ya hoti rahti hein unhe yah dimag  apne ander ak kushal lekhak ki bhati sanchit karta rhta hai  aur jab bhi hame kinhin  jankariyon ki aavshyakta hoti hai yah jankariyan hame ak yad ke rup me vh dimag hame de deta hai.aur jin jankariyo ki hame jarurat nhi padti un jankariyon  ko vh apne ander samete rkhta hai.is prakar in jankariyo ka yah mastishk jo sanklan karta hai inhe ham chetan jankari kahte hein.kuch jankariyan jinki hame jarurat nhi padti hein vo jankariyan hamare achetan man me apna sthan banati rahti hein.ye jankariyan itni achchi tarah se hamare dimag me baithi rahti hein ki inhe koi isse inhe alag nhi kar sakta hai .ye jankariya samay ke sath jab jarurat padti hai tabhi samne. Aati hein .kbhi kbhi tow yah bhi dekha gya hai aur iske kai praman bhi mile hein ki insan ke gujar jane ke bad bhi ye jankariyan dusre janm le lene ke bad bhi insan ke man aur mastishk me ak ghane badal ki bhanti chhai rahti hein.                                                          Isi ke sambandh me mujhe ak ladke ki kahani yad aa rhi hai jise meine news paper ya kisibook me pda tha ki ak priwar me ak bacha janm leta hai kuch bada hone par vah  jab char panch varsh ka ho jata hai  apne pariwar balo se puchata hai ki mai yahan kaise aaya? Mujhe mere ghar jana hai.aap log mujhe mere ghar chhod aaiye.bachche se puchha jata hai ki tumhara nam kya hai?vah apna pichhle janam ka name batata hai aur sath hi apne gram ka bhi name  batata hai vah apni purv patni ka bhi name batata hai.jab use us jahah le jaya jata hai jo jagah usne batai thi tow vah vhan jakr ak mahila se lipat jata hai aur kahta hai ki mujhe kaise?kahan?aur kisne mujhe mara.jab police is bat ka pta karti hai tow us bachche ki batai hui sari jankari such pai jati hai aur vah bachcha apne pichale janam ke sare pariwar balon ko pahchan jata hai aur uski sari jankari sahi savit hoti hai .                                                                  Ye jo jankari meine uper di hai yah hamare mastishk ka achetan bhag hota hai jo janm gujar jane ke bad bhi naye janam me bhi sari jankari apne ander banaye rakhta hai.mai janti hu yah aapke liye vishvasniy nhi lagti par such maniye yah akdam sahi hai.

Comments